• Mai-Khane Mein Kyon Yaad-E-Khuda Hoti Hai Aksar;<br/>
Masjid Mein To Zikr-E-Mai-O-Meena Nahi Hota!
  Mai-Khane Mein Kyon Yaad-E-Khuda Hoti Hai Aksar;
  Masjid Mein To Zikr-E-Mai-O-Meena Nahi Hota!
  ~ Riyaz Khairabadi
 • Ye Kaali Kaali Botlein Jo Hain Sharaab Kee,<br/>
Raatein Hain In Mein Band Hamare Shabaab Kee!
  Ye Kaali Kaali Botlein Jo Hain Sharaab Kee,
  Raatein Hain In Mein Band Hamare Shabaab Kee!
  ~ Riyaz Khairabadi
 • Jee Uthe Hashar Mein

  Jee Uthe Hashar Mein Phir Jee Se Guzarne Wale;
  Yaan Bhi Paida Hue Phir Aap Pe Marne Wale;

  Hai Udasi Shab-e-Matam Kee Suhani Kaisi;
  Chaanv Mein Taaron Kee Nikale Hain Sanwarne Wale;

  Hum To Samjhe The Ki Dushman Pe Uthaya Khanjar;
  Tumne Jana Ki Humin Tum Pe Hain Marne Wale;

  Sabr Kee Mere, Mujhe Daad Zara De Dena;
  O Mere Hashar Ke Din Faisala Karne Wale;

  Kya Maza Deti Hai Bijli Kee Chamak Mujhko 'Riyaz';
  Mujhse Lipatate Hain, Mere Naam Se Darne Wale!
  ~ Riyaz Khairabadi
 • Bach Jaye Jawani Mein Jo Duniya Kee Hawa Se;
  Hota Hai Farishta Koi Insaan Nahi Hota!
  ~ Riyaz Khairabadi
 • Hamari Aankhon Mein Aao To Hum Dikhayein Tumhein;
  Ada Tumhari Jo Tum Bhi Kaho Ki Haan Kuch Hai!
  ~ Riyaz Khairabadi
 • Gham Mujhe Dete Ho Auron Kee Khushi Ke Vaaste;<br />
Kyon Bure Bante Ho Tum Nahaq Kisi Ke Vaaste!
  Gham Mujhe Dete Ho Auron Kee Khushi Ke Vaaste;
  Kyon Bure Bante Ho Tum Nahaq Kisi Ke Vaaste!
  ~ Riyaz Khairabadi