Shayari

Page: 1
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunaate Rahe;
Humari Tanhaayion Se Ankh Churaate Rahe;
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki;
Hum Har Dard Muskura Kar Chipaate Rahe!
Tujh Se Pehlay Jo Ik Shakhs Yahaan Takht Nasheen Tha;
Usko Bhi Apney Khudaa Honey Ka Itna Hee Yaqeen Tha!

Takht Nasheen = Sitting on the throne
~ Habib Jalib
Jo Koi Samajh Na Sake Wo Baat Hai Hum;
Jo Dhal Ke Nayi Subah Laye Wo Raat Hai Hum;
Chhod Dete Hai Log Rishte Banakar;
Jo Kabhi Chhod Ke Na Jaye Wo Sath Hai Hum!
Jo Koi Samajh Na Sake Wo Baat Hai Hum;<br/>
Jo Dhal Ke Nayi Subah Laye Wo Raat Hai Hum;<br/>
Chhod Dete Hai Log Rishte Banakar;<br/>
Jo Kabhi Chhod Ke Na Jaye Wo Sath Hai Hum!
Logon Ne To Thukra Diya Haal-e-Gharibi Dekh Ker Dost;
Hum To Aaj Bhi Badshah Hain Dosti Ke Bazaar Mein!
Logon Ne To Thukra Diya Haal-e-Gharibi Dekh Ker Dost;<br/>
Hum To Aaj Bhi Badshah Hain Dosti Ke Bazaar Mein!
Ishq Sey Tabeeyat Ney Zeest Ka Mazaa Paaya;
Dard Kee Davaa Paayee Dard-e-la-davaa Paaya!

Zeest = Lust for living
~ Mirza Ghalib
Ishq Sey Tabeeyat Ney Zeest Ka Mazaa Paaya; 
Dard Kee Davaa Paayee Dard-e-la-davaa Paaya!  
Zeest = Lust for living
Na Kisee Kee Aankh Ka Noor Hoon;
Na Kisee Key Dil Ka Qaraar Hoon;
Jo Kisee Key Kaam Na Aa Sakey;
Main Vo Ek Musht-e-Ghubaar Hoon!
~ Bahadur Shah Zafar
Na Kisee Kee Aankh Ka Noor Hoon; 
Na Kisee Key Dil Ka Qaraar Hoon; 
Jo Kisee Key Kaam Na Aa Sakey; 
Main Vo Ek Musht-e-Ghubaar Hoon!
Khwaab Thaa Ya Khayaal Thaa Kyaa Thaa;
Hijr Thaa Ya Vishaal Thaa Kyaa Thaa!
Chamkee Bijlee Sie Par Na Samjhey Hum;
Husn Thaa Ya Jamaal Thaa Kya Thaa!
~ ShaiKh Ghulam Hamdani MusHafi
Khwaab Thaa Ya Khayaal Thaa Kyaa Thaa; 
Hijr Thaa Ya Vishaal Thaa Kyaa Thaa! 
Chamkee Bijlee Sie Par Na Samjhey Hum; 
Husn Thaa Ya Jamaal Thaa Kya Thaa!
Jab Yaar Ney Utthaa Kar Zulfon Key Baal Baandhey;
Tab Mainey Apney Dil Mein Laakhon Khayaal Baandhey!
~ Mohammad Rafi Sauda
Jab Yaar Ney Utthaa Kar Zulfon Key Baal Baandhey; 
Tab Mainey Apney Dil Mein Laakhon Khayaal Baandhey!
Kab Tak Rahoge Aakhir Yun Duur Duur Hum Se;
Milna Padega Aakhir Ik Din Jarur Hum Se.

Daaman Bachhane Waale Yeh Berukhi Hai Kaisi;
Keh Do Agar Hua Hai Koi Kasur Hum Se.

Hum Chhod Denge Tum Se Yun Baat-Chit Karna;
Tum Puchhte Firoge Apna Kasoor Hum Se!

Waaste De De Ke Khuda Se Teri Khushiyon Ki Dua Maangi Hai;
Aaj Phir Tere Liye Maine Kismat Se Waafa Maangi Hai.

Chaand Taaron Sa Tabassum Maine Manga Hai Rab Se;
Tere Aangan Ke Liye Phir Baharon Ki Fiza Maangi Hai.

Uss Ke Jeevan Me Andhera Naa Ho Ek Pal, Mere Maula;
Jis Ki Khatir Maine Har Pal Sajdon Me Dua Maangi Hai!

To receive SMS from Santa Banta daily on your Tata Docomo GSM mobile, dial *444*788# from your phone.