Aapki Dosti Ki Ek Nazar Chahiye, Dil Hai Beghar Use Ek Ghar Chahiye; Bas Yun Hi Saath Chalte Raho Ae Dost, Yeh Dosti Humein Umar Bhar Chahiye! |
Rishton Se Badi Chahat Kya Hogi, Dosti Se Badi Ibadat Kya Hogi; Jise Dost Mil Jaye Aap Jaisa, Use Zindagi Se Shikayat Kya Hogi! |
Dushmano Ne Jo Dushmani Ki Hai; Doston Ne Bhi Kya Kami Ki Hai! |
Dushmano Ke Sath Mere Dost Bhi Azaad Hain; Dekhna Hai Khenchta Hai Mujh Pe Pehla Teer Kaun! |
Maza Aata Hai Kisi Ko Stanne Mein; Roothe Na Koi Toh, Maza Kya Manane Mein; Ek Doston Se Hi To Khushi Hai; Varna Rakha Kya Hai Iss Zindagi Aur Zamane Mein! |
Jo Dil Ke Ho Kareeb Use Ruswa Nahi Karte, Yun Apni Dosti Ka Tamasha Nahi Karte; Khamosh Rahoge Toh Ghutan Aur Badegi, Apno Se Koi Baat Chhupaya Nahi Karte! |
Mere Dost Ki Pehchan Yahi Kaafi Hai; Wo Har Shakhs Ko Danista Khafa Karta Hai! |
Ye Fitna Aadami Ki Khaana-Veerani Ko Kya Kam Hai; Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho! |
Dosti Apni Bhi Asar Rakhti Hai Faraz; Bahut Yaad Aayenge Zara Bhool Ke Dekho! |
Vaada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako; Chaho Na Usko Jise Tum Pa Na Sako; Dost To Duniya Mein Bahut Hote Hain, Par Ek Khaas Rakho Jiske Bina Tum Muskura Na Sako! |