Muddat Hui Hai Yaar Ko Mehman Kiye Hue; Josh-e-Qadah Se Bazm Chiraghan Kiye Hue; Karta Hun Jama Phir Jigar-e-Lakht Lakht Ko; Arsa Hua Hai Dawat-e-Mizhgaan Kiye Hue! Translation: It has been an age since my lover was hosted, When heated wine lit candles through night, Once again, I gather the pieces of my dismembered body, What time has passed since I encountered those killing eyes. |
Mera Har Pal Aaj Khoobsurat Hai; Dil Mein Jo Sirf Teri Hi Soorat Hai; Kuch Bhi Kahe Ye Duniya Ab Gham Nahi; Duniya Se Jyada Mujhe Teri Jarurat Hai! |
Mohabbat Mein Main Khud Ko Bhool Jaunga; Raha Wada Teri Shohbat Mein Main Duniya Bhool Jaunga; Kabhi Aajmana Humein Bhi Apni Mehfil Mein; Main Teri Khatir Duniya-e-Mehfil Bhool Jaunga! |
Sapne The, Un Sapno Ke Aap Sahil Hue; Na Jane Kaise Hum Aapki Mohabbat Ke Kabil Hue; Karazdar Rahenge Hum Us Haseen Pal Ke; Jis Pal Aap Hamari Choti Si Duniya Mein Shamil Hue! |
Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain; Main Shaad Hun Ki Hun To Kisi Kee Nigaah Mein! Meaning: Shaad = Delighted/Cheerful |
Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Siva Tere; Mujhe Kisi Kee Jarurat Nahi Siva Tere; Meri Nazar Ko Thi Jiski Talaash Barson Se; Kisi Ke Paas Woh Surat Nahi Siva Tere! |
Hote Agar Paas To Koi Shararat Karte; Lekar Tumhein Baahon Mein Mohabbat Karte; Dekhte Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumar; Apni Khoyi Hui Neendo Kee Shikayat Karte! |
Wo Aate Hain To Dil Mein Ek Kasak Si Mehsoos Hoti Hai; Main Darta Hun Ki Kahin Isi Ko Mohabbat To Nahi Kehte! |
Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai; Mere Dil Kee Tamaam Khabar Rakhta Hai; Shayed Main Use Bhool Hi Jati Magar; Yaad Aane Ke Woh Saare Hunar Rakhta Hai! |
Ai Dost Humne Tarq-e-Mohabbat Ke Bawjood; Mehsoos Kee Hai Teri Zaroorat Kabhi-Kabhi! |