Dekhi Jo Meri Nabz Toh Ek Lamha Soch Kar; Kagaz Liya Aur Ishq Ka Beemar Likh Diya! |
Ek Talwar Ki Keemat Hoti Hai Uski Dhaar Se, Insaan Ki Keemat Hoti Hai Uske Vyavhaar Se! |
Khatam Karo Mayusi Aur Sab Nafratein; Dil Rabb Ka Ghar Koi Asthaan Ya Koi Iblees Nahi! |
Kamaal Ka Tana Deti Hai Ye Duniya; Agar Woh Tera Hai To Tere Paas Kyon Nahi! |
Chidiya Ne Ud Kar Kaha Mera Hai Akash; Bola Shikra Daal Se Yunhi Hota Kaash! |
Nashtar Chahe Phool Se Barf Se Mange Khoon; Dhoop Khilaye Chand Ko Andhe Ka Kanoon! |
Log Karte Hain Baatein Apne Logon Se; Main Kis Se Baat Karoon Kahan Se Use Dhoond Ke Laoon! |
Sochta Hun Ke Bujha Dun Main Yeh Kamre Ka Diya; Apne Saaye Ko Bhi Kyon Saath Jagauon Apne! |
Amrit Ras Ki Been Par Zehar Ke Nagme Gaao; Marham Se Muskaan Ke Zaḳhmon Ko Uksao! |
Babu-Giri Karte Ho Gayi Ali Ko Do Saal; Murjhaya Woh Phool Sa Chehra Bhure Paḍ Gaye Baal! |