Gham Ish Kadar Barhey Ke Mein Ghabra Ke Pee Gaya; Is Dil Ki Be-Basi Pe Tarss Kha Ke Pee Gaya; Thukra Raha Tha Mujh Ko Bari Der Se Jahan; Main Aaj Sab Jahan Ko Thukraa Ke Pee Gaya! |
Tohfe Mai Mat Gulaab Lekar Aana; Meri Qabr Par Mat Chiraag Lekar Aana; Bahot Pyaasa Hoon Barso'n Se Main; Jab Bhi Aana Sharaab Lekar Aana! |
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai; Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai; Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye; Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai! |
Saaqi Dekh Zamaane Ne, Kaisi Tohmat Lagayi Hai; Aankhein Teri Nasheeli Hai, Sharabi Mujhe Kehte Hai! |
Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka; Hosh Dono Mein Koh Jate Hai; Fark Sirf Itna Hai Ke Sharab Sula Deti Hai; Aur Mohabbat Rula Deti Hai! |
Badi Gaur Se Dekh Raha Hu Is Maikhane Ko; Is Ne Waqt Hi Nahi Diya Sar Jhukane Ko; Mujhe Marne Se Dar Nahi Lagta Aye "Umar"; Bas Sharm Si Arahi Hai Us Ke Paas Jane Ko! |
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log; Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log; Tu Zehar Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi; Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log! |
Hamesha Yaad Aati Hai Unki; Aur Mood Ho Jata Hai Kharab; Tab Hamesha Lekar Baithe Hai Hum; Ek Hath Me Kalam Aur Ek Hath Me Sharab! |
Maikhane Saje The, Jam Ka Tha Daur; Jam Me Kya Tha Ye Kisne Kiya Tha Gaur; Jam Me Gum Tha Mere Armano Ka; Aur Sab Kahe Rahe The Ek Aur, Ek Aur! |
Teri Yaad Ne Hamhe Jeene Na Diya; Chain Se Humko Ab Marne Na Diya; Hum Peete Hai Teri Yaad Me Zalim; Par Iss Duniya Ne Hame Peene Na Diya! |