Bhari Bahar Mein Ek Shaakh Par Khila Hai Gulab; Ki Jaise Tu Ne Hatheli Pe Gaal Rakha Hai! |
Hua Hai Tujh Se Bichhadne Ke Baad Ye Maalum; Ki Tu Nahi Tha Tere Saath Ek Duniya Thi!d |
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa: Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa, Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa; Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh, Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa; Pehle Se Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi To, Rasm-o-Rah-e-Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa; Kis Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Hum, Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa; Ik Umar Se Hun Lazzat-e-Girya Se Bhi Mehrum, Ai Rqhat-e-Jan Mujh Ko Rulane Ke Liye Aa; Ab Tak Dil-e-Khush-Fahm Ko Tujh Se Hain Ummeedein, Ye Aakhiri Shamein Bhi Bujhane Ke Liye Aa! |
Is Zindagi Mein Itni Faraghat Kise Naseeb; Itna Na Yaad Aa Ki Tujhe Bhool Jayein Hum! * Faraghat - Cessation from labour, Interval, Time for rest, Comfort |
Sakiya Ek Nazar Jaam Se Pehle Pehle; Hum Ko Jana Hai Kahin Sham Se Pehle Pehle! |
Us Ko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua, Ab Kya Kahein Yeh Qissa Purana Bahut Hua; Hum Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda, Itne Se Waqiye Ka Fasana Bahut Hua! |
Ab Ke Hum Bichhade Toh Shayad Kabhi Khwabon Mein Milen; Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitabon Mein Milen! |
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaayega; Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaayega! |
Tor Diya Tasbee Ko Is Khayal Se Faraz; Kya Gin Gin Ke Naam Lena Uska Jo Behisab Deta Hai! |
Dil Giraftaa Hi Sahi: Dil Giraftaa Hi Sahi Bazm Saja Li Jaye, Yaad-e-Janan Se Koi Shaam Na Khaali Jaye; Rafta-Rafta Yahi Zandaan Mein Badal Jate Hain, Ab Kisi Shehar Ki Buniyaad Na Daali Jaye; Mushaf-e-Rukh Hai Kisi Ka Ki Beyaaz-e-Hafiz, Aise Chehre Se Kabhi Faal Nikaali Jaye; Woh Murawwat Se Mila Hai To Jhukadun Gardan, Mere Dushman Ka Koi Waar Na Khaali Jaaye; Be-Nawaa Shehar Ka Saaya Hai Mere Dil Pe 'Faraz', Kis Tarah Se Meri Aashufta Khyaali Jaye! |