Main Laakh Ise Taaza Rakhun Dil Ke Lahu Se; Lekin Teri Tasveer Khayali Hi Rahegi! |
Hazar Shama Farozan Ho Roshni Ke Liye; Nazar Nahi To Andhera Hai Aadmi Ke Liye! |
Kitni Lambi Khamoshi Se Guzra Hun; Un Se Kitna Kuch Kehne Ki Koshish Ki! |
Mohabbat Karne Wale Kam Na Honge; Teri Mehfil Mein Lekin Hum Na Honge! |
Yaar Sab Jama Hue Raat Ki Khamoshi Mein; Koi Ro Kar To Koi Baal Bana Kar Aaya! |
Ek Woh Hain Ki Jinhen Apni Khushi Le Doobi; Ek Hum Hain Ki Jinhen Gham Ne Ubharne Na Diya! |
Saja Rahega Andheron Se Hi Khandar Mera; Ek Ek Kar Ke Hua Khatam Ab Safar Mera! |
Is Zamane Ki Ajab Tishna-Labi Hai Ai 'Zafar'; Pyaas Us Ki Sirf Bujhti Hai Hamare Khoon Se! |
Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Taak Kar Hairan Hua; Ye Chehra Kuch Aur Tarah Tha Pehle Kisi Zamaane Mein! |
Dil Aur Shama Dono Barabar Hain Sokhta; Uthta Hai Kis Jagah Se Dhuan Dekhte Raho! *Sokhta: Burnt, Grieved |