Doobi Hain Meri Ungliyan Khud Apne Lahoo Mein; Yeh Kaanch Ke Tukde Uthaane Kee Saza Hai! |
Dukh Dete Ho Aur Khud Hi Swaal Karte Ho; Tum Bhi O Sanam Kamaal Karte Ho; Dekh Kar Puch Liya Hai HaaL Mera; Chalo Shukr Hai Kuch To Khyaal Karte Ho! |
Itni Lambi Umar Kee Dua Mat Maang Mere Liye; Aisa Na Ho Ke Tu Bhi Chhod De Aur Maut Bhi Na Aaye! |
Aisa Nahi Hai Ki Ab Teri Mujhko Zaroorat Nahi Rahi; Bas Toot Toot Kar Ab Bikhrne Kee Himmat Nahi Rahi; Aisa Nahi Hai Ki Tere Peeche Teri Yaad Aati Nahi Rahi; Bas Ab Foot Foot Kar Rone Kee Himmat Nahi Rahi! |
Kuch Cheezein Hum Purani Chhod Aaye; Aate Aate Uski Aankhon Mein Paani Chhod Aaye; Ye Aisa Dard Hai Jo Bayaan Ho Hi Nahi Sakta; Dil To Saath Le Aaye Lekin Dhadkan Wahin Chhod Aaye! |
Nibha Sakta Hun Main Tamam Umar Saath Tera; Magar Aapni Zindagi Par Mujhe Yaqeen Nahi; Mere Marne Par Bhi Rahogi Tum Pass Mere; Magar Hunga Us Waqt Bhi Main Tumhare Saath Nahi! |
Kahan Se Layein Hunar Use Manane Ka; Koi Jawab Nahi Tha Uske Rooth Ke Chale Jane Ka; Milni Thi Mujhe Hi Saza Is Mohabbat Mein; Kyon Ki Juram Maine Hi Kiya Tha Us Se Dil Lagane Ka! |
Chand Kaliyan Nishat Ki Chun Kar, Muddaton Mahv-e-Yaas Rehta Hun; Tujh Se Milna Khushi Ki Baat Sahi, Tujh Se Mil Kar Udaas Rehta Hun! Translation: Mahv-e-Yaas = Lost in grief |
Kitab-e-Ishq Mein Jitne Alfaz Likhe Hain; Dil Mein Mere Utne Ehsaas Rakhe Hain; Tum Keh Kar Dekhte Sitamgar, Zalim; Mere Labon Par Kitne Tere Naam Rakhe Hain! |
Holi Ke Din Ki Ye Mulaqat Yaad Rahegi; Rango Ki Ye Barsaat Yaad Rahegi; Aap Ko Mile Rangeen Duniya Aise Hamesha; Is Toote Hue Dil Ki Rabb Se Yahi Fariyad Rahegi! |