Inhi Patharon Pe Chal Kar Agar Aa Sako To Aao; Mere Ghar Ke Raaste Mein Koi Kehkashan Nahi Hai! |
Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna; Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna; Main Uthta Hun Sahare Ke Liye Uske; Reh Na Geya Ho Raah Mein, Kahin Dard Apna! |
Hans Ke Farmaate Hai Woh, Dekh Ke Haalat Meri; Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri; Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri; Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri! |
Na Haara Hai Ishq Na Duniya Thaki Hai; Diya Jal Raha Hai Hawa Chal Rahi Hai; Sukoon Hi Sukoon Hai Khushi Hi Khushi Hai; Tera Gham Salamat Mujhe Kya Kami Hai! |
Ye Jabr Bhi Dekha Hai Tareekh Kee Nazron Ne; Lamhon Ne Khataa Kee Thi Sadiyon Ne Saza Payi! |
Ja Aur Koi Zabt Ki Duniya Talash Kar; Ai Ishq Hum To Ab Tere Kaabil Nahi Rahe! |
Kuchh Iss Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasan Kar Liya; Bhool Kar Teri Bewafai, Maine Apni Tanhai Se Pyaar Kar Liya! |
Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain; Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain; Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka Agar; Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard Chupa Lete Hain! |
Mujhe In Patharo Ka Dar Na Hota; Agar Sheeshe Ka Mera Ghar Na Hota; Yakeenan Hum Bhi Khelte Ishq Ki Bazi; Agar Dil Tootne Ka Dar Na Hota! |
Nibhaoge Tum Kasmein Yeh Wada Na Karo; Mohabbat Humse Itni Zyada Na Karo; Dekhe Hain Maine Bhi Daur Tabahi Ke; Aur Humein Sataane Ka Irada Na Karo! |