Guzre Jo Apne Yaaron Ki Sohbat Mein Chaar Din; Aisa Laga Basar Hue Jannat Mein Chaar Din! *Sohbat: Association, Company |
Woh Koi Dost Tha Achche Dinon Ka; Jo Pichhli Raat Se Yaad Aa Raha Hai! |
Jab Tak Jiye Nibhayenge Hum Un Se Dosti; Apne Rahe Jo Dost Museebat Mein Chaar Din! |
Guzre Jo Apne Yaaron Ki Sohbat Mein Chaar Din; Aisa Laga Basar Hue Jannat Mein Chaar Din! |
Ho Gaye Nakaam To Pachhtayein Kya; Doston Ke Samne Sharmayein Kya! |
Wo Chai Ki Pyali Pe Yaaron Ke Jalse; Wo Sardi Ki Raatein Wo Zulfon Ke Qisse! |
Waqt Ki Yaari To Har Koi Karta Hai Mere Dost; Maza To Tab Hai Jab Waqt Badal Jaye Par Yaar Na Badle! |
Aadatein Alag Hain Meri Duniya Walon Se; Dost Kam Rakhta Hun Par La-Jawaab Rakhta Hun! |
Ae Dost Main Teri Khushiyan Baantne Shayad Na Aa Saku, Haan Yeh Vaada Raha Jab Gham Aaye To Khabar Kar Dena Sare Ke Sare Le Jaunga! |
Main Hairan Hun Ki Kyon Us Se Hui Thi Dosti Apni; Mujhe Kaise Gawara Ho Gayi Thi Dushmani Apni! |