Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi;
Aao Kahin Sharab Piyen Raat Ho Gayi!
Mohabbat Mein Khuda Jaane Hui Rusvaiyan Kis Se;
Main Un Ka Naam Leta Hun Woh Mera Naam Lete Hain!
Zamana-Saziyon Se Main Hamesha Door Rehta Hain;
Mujhe Har Shakhs Ke Dil Mein Utar Jana Nahi Aata!
Ab Ye Bhi Nahi Theek Ki Har Dard Mita Den;
Kuch Dard Kaleje Se Lagane Ke Liye Hain!
Doston Ko Bhi Mile Dard Ki Daulat Ya Rab;
Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahi!
Woh Jab Dekhte Hain Kabhi Meri Janib;
To Main Janib-e-Aasman Dekhta Hun!
Khuda Ki Raza Hai Na Haasil Kisi Ko;
Khuda Ke Liye Par Ladai Bahut Hai!
Zaban Khamosh Magar Nazron Mein Ujala Dekha;
Us Ka Izhar-E-Mohabbat Bhi Nirala Dekha!
Kal Samne Manzil Thi Peeche Meri Aawazein;
Chalta To Bichhad Jata, Rukta To Safar Jata!
Uthte Huon Ko Sab Ne Sahara Diya 'Kaleem';
Girte Hue Gareeb Sambhale Kahan Gaye!